Imam Ali A.S.- Jis Din Insaan koi Gunah na kare, wo din uske liye EID ka din hai. ||  Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Agar koi chahe ke uski DUA qabool ho to woh HARAM KHANA aur HARAM KAMAI se parhez kare. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Daman E Aql Ko Jo Chaak Nhi Kr Sakta, Wo Kbi Noor Ka Idrak Ni Kr Sakta, Bughz E Haider Ki Nijasat Ha Nijasat Aisi, Aab-E-Zum Zum Bhi Jise Pak Nhi Kr Sakta ||  S.47, A.7: Ay imanwalo agar tum ALLAH(k deen) ki madad karoge to wo tumhari madad karega aur tumhe sabit qadam rakhega. ||  Pani Ki Talab Ho To 1 Kaam Kia Kar Karbala K Naam Pe 1 Jam Piya Kar Ki Mujko Hussain Ibn-E-Ali Ne Yeh Naseehat Zalim Ho Muqabil To Mera Naam Liya Kar ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Jo Behtrain tarike se KHANA-E-KAABA ka TAWAF kare aur 2 rakat namaz padhe ALLAH uske pichle Gunah maaf kar dega. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||  Imam Jafar Sadiq A.S.- Jo Mohtaj Momin ko Khana khilaye to aisa hai ke usne Hazrat Ismail ki Aulad me se 100 admiyo ko QATL se bachaya. ||  Imam Ali A.S.: silence is the best reply to a fool. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||  Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. ||  Imam Sadiq A.S.- Jo Quran ki tilawat dekh ke kare to uski annkhon ki roshni mazbut hogi aur uske waledain ke gunah maaf honge, chaahe wo kafir hi kyun na ho. ||  The Holy Prophet Mohammad s.a.w.w said :Train your children in three things :thelove of your Prophet ,the love of his progeny i.e AHLULBAYT and recitation of the Quran....Al -Jami-ul-saghir vol 1 p14 ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Imam Ali a.s ne farmaya: Gunah aik Aisa Marz Hai Jiski Dawa Astaghfar Hai Aur us Gunah ko Na Dohrana uski shifa Hai: Ref: Tajaliat-e-Hikmat Page 205 || 
Aagaya Mah-e-Muharram
Date: 18th Nov 2012


Most Viewed Vidoes