Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||  Hazrat Mohammad Mustfa SAWW- Maa Baap ki nafarmani wo gunah hai ki aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. ||  Imam Baqir A.S. Agar koi Momin ke liye dua karta hai to farishte ALLAH se uske liye dua karte hai aur farishton ki dua ALLAH jald qubul karta hai. ||  Daman E Aql Ko Jo Chaak Nhi Kr Sakta, Wo Kbi Noor Ka Idrak Ni Kr Sakta, Bughz E Haider Ki Nijasat Ha Nijasat Aisi, Aab-E-Zum Zum Bhi Jise Pak Nhi Kr Sakta ||  Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||  S.7, A.20 : Logo Quran Padha jaye to dhiyaan se suno aur khamosh raho taaki tum par reham kiya jaye. ||  Wo Jis Ne Apny Na Na Ka Wada Wafa Kar Dia Ghar Ka Ghar Supard-E-Khuda Kar Dia Nosh Kar Lia Jis Ne Shahadat Ka Jaam Us 'Hussain Ibne-Ali' Par Lakhon Salam ||  Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||  Imam Ali a.s ne farmaya: Gunah aik Aisa Marz Hai Jiski Dawa Astaghfar Hai Aur us Gunah ko Na Dohrana uski shifa Hai: Ref: Tajaliat-e-Hikmat Page 205 ||  Imam Ali A.S.- Jo ISTEKHARA karega woh kabhi hairan nahi foga aur jo mashwara(advice) lega kabhi pareshan nahi hoga. ||  Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||  Imam Mohammad Baqir A.S.- Wo ko WUZU karte waqt ek baar AYATUL QURSI padhe to ALLAH uske 40 saal ki ibadat ka sawab dega, 40 darjat buland karega, 40 huron se shadi karega. || 
Teri Lash Hussain
Date: 31st Oct 2014


Most Viewed Vidoes